apna hi kirdar rad karta hua
apnā hī kirdār rad kartā huā
maiñ kahānī mustanad kartā huā
ik nayā naqsha banā laayā huuñ maiñ
shahr ko sahrā kī had kartā huā
sharh dil kī likh rahā huuñ maiñ na.ī
har purānī soch rad kartā huā
ishq likkhegā na.e eraab ab
mere dil ko shadd-o-mad kartā huā
is tarah se mustanad hotā gayā
ik qalandar ḳhud ko rad kartā huā
aur phir dīvār meñ dar ho gayā
ishq yuuñ merī madad kartā huā
apna hi kirdar rad karta hua
main kahani mustanad karta hua
ek naya naqsha bana laya hun main
shahr ko sahra ki had karta hua
sharh dil ki likh raha hun main nai
har purani soch rad karta hua
ishq likkhega nae erab ab
mere dil ko shadd-o-mad karta hua
is tarah se mustanad hota gaya
ek qalandar KHud ko rad karta hua
aur phir diwar mein dar ho gaya
ishq yun meri madad karta hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.