apna ho kar bhi paraya nazar aaya hun main
apnā ho kar bhī parāyā nazar aayā huuñ maiñ
dekh lo kitnā ziyāda nazar aayā huuñ maiñ
us ne pahchān liyā pahlī nazar meñ mujh ko
aa.ine tere alāva nazar aayā huuñ maiñ
camere kī ye safā.ī to nahīñ ho saktī
ek tasvīr meñ hañstā nazar aayā huuñ maiñ
yaad aa.ī hai baḌī der ke ba.ad apnoñ ko
nazar aane ke alāva nazar aayā huuñ maiñ
aadhā samjhā hai mujhe ek jhalak meñ us ne
is kā matlab use saarā nazar aayā huuñ maiñ
apna ho kar bhi paraya nazar aaya hun main
dekh lo kitna ziyaada nazar aaya hun main
us ne pahchan liya pahli nazar mein mujh ko
aaine tere alawa nazar aaya hun main
camere ki ye safai to nahin ho sakti
ek taswir mein hansta nazar aaya hun main
yaad aai hai baDi der ke baad apnon ko
nazar aane ke alawa nazar aaya hun main
aadha samjha hai mujhe ek jhalak mein us ne
is ka matlab use sara nazar aaya hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.