apna inkar kar chuka hun main
apnā inkār kar chukā huuñ maiñ
kār-e-dushvār kar chukā huuñ maiñ
yā'nī vahshat meñ aap hī apne
saa.e par vaar kar chukā huuñ maiñ
jo kahānī meñ markazī Thahre
vo bhī kirdār kar chukā huuñ maiñ
be-sabātī pe aañkh se girya
hasb-e-darkār kar chukā huuñ maiñ
ab nasīhat kā fā.eda hī nahīñ
'ishq āzār kar chukā huuñ maiñ
oḌh kar hijr terā ai 'farhat'
ḳhud ko bīmār kar chukā huuñ maiñ
apna inkar kar chuka hun main
kar-e-dushwar kar chuka hun main
ya'ni wahshat mein aap hi apne
sae par war kar chuka hun main
jo kahani mein markazi Thahre
wo bhi kirdar kar chuka hun main
be-sabaati pe aankh se girya
hasb-e-darkar kar chuka hun main
ab nasihat ka faeda hi nahin
'ishq aazar kar chuka hun main
oDh kar hijr tera ai 'farhat'
KHud ko bimar kar chuka hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.