apna jahan mein rahna hai yaadgar rahna
apnā jahāñ meñ rahnā hai yādgār rahnā
mushkil thā apne ghar meñ begāna-vār rahnā
ai maut rahm kar ab ye koī zindagī hai
nazroñ se apnī gir kar duniyā pe baar rahnā
hāthoñ pe sar ko rakkhe har rind kah rahā hai
be-kaif rahne hī tak thā be-ḳhumār rahnā
kis tarah maiñ ne maanā ai iḳhtiyār vaale
mayyat ke misl apnā be-iḳhtiyār rahnā
rangīniyoñ ne kis kī sikhlā diyā hai gul ko
jab tak chaman meñ rahnā ban kar bahār rahnā
hastī ke qāfile ko us rāhzan ne luuTā
kahtā thā raah bhar jo haañ hoshiyār rahnā
'beḳhud' kī zindagī kī ye bhī koī tarah thī
be-iḳhtiyār aanā be-iḳhtiyār rahnā
apna jahan mein rahna hai yaadgar rahna
mushkil tha apne ghar mein begana-war rahna
ai maut rahm kar ab ye koi zindagi hai
nazron se apni gir kar duniya pe bar rahna
hathon pe sar ko rakkhe har rind kah raha hai
be-kaif rahne hi tak tha be-KHumar rahna
kis tarah main ne mana ai iKHtiyar wale
mayyat ke misl apna be-iKHtiyar rahna
ranginiyon ne kis ki sikhla diya hai gul ko
jab tak chaman mein rahna ban kar bahaar rahna
hasti ke qafile ko us rahzan ne luTa
kahta tha rah bhar jo han hoshiyar rahna
'beKHud' ki zindagi ki ye bhi koi tarah thi
be-iKHtiyar aana be-iKHtiyar rahna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.