apna KHurshid aur apna hi qamar paida kar
apna KHurshid aur apna hi qamar paida kar
Ram Chandr Varma Sahil
MORE BYRam Chandr Varma Sahil
apnā ḳhurshīd aur apnā hī qamar paidā kar
tū mohabbat kā shajar hai to samar paidā kar
har bashar tujh ko nazar aane lage apnī tarah
apne andar tū vo hī qalb-o-nazar paidā kar
ye to mumkin hī nahīñ hai vo na chāhe tujh ko
haañ magar us ke liye tū bhī jigar paidā kar
muntazir hogā tire vāste 'sāhil' ai dost
pahle tūfān se laḌne kā hunar paidā kar
terī aaheñ bhī pahuñch jā.eñgī rab tak ik din
aahoñ meñ apnī vo dil-doz asar paidā kar
raat tārīk agar hai to tujhe Dar kyā hai
dāġh-e-dil apne jalā aur sahar paidā kar
tū bhī ho jā.egā mahbūb-e-zamāna 'sāhil'
apne andar vo mohabbat kī nazar paidā kar
apna KHurshid aur apna hi qamar paida kar
tu mohabbat ka shajar hai to samar paida kar
har bashar tujh ko nazar aane lage apni tarah
apne andar tu wo hi qalb-o-nazar paida kar
ye to mumkin hi nahin hai wo na chahe tujh ko
han magar us ke liye tu bhi jigar paida kar
muntazir hoga tere waste 'sahil' ai dost
pahle tufan se laDne ka hunar paida kar
teri aahen bhi pahunch jaengi rab tak ek din
aahon mein apni wo dil-doz asar paida kar
raat tarik agar hai to tujhe Dar kya hai
dagh-e-dil apne jala aur sahar paida kar
tu bhi ho jaega mahbub-e-zamana 'sahil'
apne andar wo mohabbat ki nazar paida kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.