apna nahin aata hai paraya nahin aata
apnā nahīñ aatā hai parāyā nahīñ aatā
ġhurbat meñ koī pūchhne vaalā nahīñ aatā
paḌhnā nahīñ aatā jise likhnā nahīñ aatā
is shaḳhs kī qismat meñ ujālā nahīñ aatā
dete haiñ lahū apne vatan ke liye ham bhī
tārīḳh meñ kyoñ naam hamārā nahīñ aatā
fāteh hī nahīñ fāteh-e-ā'zam use kahiye
jis shaḳhs ko bhūle se bhī ġhussa nahīñ aatā
Dar jaate ho sansār ke har sūd-o-ziyāñ se
aur ḳhauf kabhī dil meñ ḳhudā kā nahīñ aatā
ummīd lagā baiThe haiñ us abr se ham log
jis ko ki kabhī khul ke barasnā nahīñ aatā
ham-mashrab-o-ham-palla ka.ī hote haiñ ham-rāh
ġham aatā hai jis ghar meñ akelā nahīñ aatā
tahrīk se juḌ jā.iye phir dekhiye 'kausar'
tahrīk se juḌne pe buḌhāpā nahīñ aatā
apna nahin aata hai paraya nahin aata
ghurbat mein koi puchhne wala nahin aata
paDhna nahin aata jise likhna nahin aata
is shaKHs ki qismat mein ujala nahin aata
dete hain lahu apne watan ke liye hum bhi
tariKH mein kyon nam hamara nahin aata
fateh hi nahin fateh-e-a'zam use kahiye
jis shaKHs ko bhule se bhi ghussa nahin aata
Dar jate ho sansar ke har sud-o-ziyan se
aur KHauf kabhi dil mein KHuda ka nahin aata
ummid laga baiThe hain us abr se hum log
jis ko ki kabhi khul ke barasna nahin aata
ham-mashrab-o-ham-palla kai hote hain ham-rah
gham aata hai jis ghar mein akela nahin aata
tahrik se juD jaiye phir dekhiye 'kausar'
tahrik se juDne pe buDhapa nahin aata
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.