apna paraya shahr mein har-su dikhai de
apnā parāyā shahr meñ har-sū dikhā.ī de
vo samt kaun sī hai jahāñ tū dikhā.ī de
taskīn-e-rūh-o-qalb kā pahlū dikhā.ī de
'rāshid' ke paas jā.ūñ to jo ho dikhā.ī de
dekheñ to mauj mauj munavvar hai duur tak
aur tishnagī bujhā.eñ to baalū dikhā.ī de
ik ham ki zehn-o-qalb kā ehsās dekh leñ
ik vo ki un ko zulf na ḳhushbū dikhā.ī de
apna paraya shahr mein har-su dikhai de
wo samt kaun si hai jahan tu dikhai de
taskin-e-ruh-o-qalb ka pahlu dikhai de
'rashid' ke pas jaun to jo ho dikhai de
dekhen to mauj mauj munawwar hai dur tak
aur tishnagi bujhaen to baalu dikhai de
ek hum ki zehn-o-qalb ka ehsas dekh len
ek wo ki un ko zulf na KHushbu dikhai de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.