Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

apna rasta badal ke dekh to lo

Ibrahim Faiz

apna rasta badal ke dekh to lo

Ibrahim Faiz

MORE BYIbrahim Faiz

    apnā rasta badal ke dekh to lo

    tum mire saath chal ke dekh to lo

    ghar se bāhar vahī hai vīrānī

    ghar se bāhar nikal ke dekh to lo

    āsmānoñ meñ hoñgī parvāzeñ

    girne vaalo sañbhal ke dekh to lo

    dil mahfil meñ chāñd utreñge

    ġham ke sho.ale nigal ke dekh to lo

    zulm sah kar bhī 'faiz' chup kyoñ ho

    kuchh sharāre ugal ke dekh to lo

    apna rasta badal ke dekh to lo

    tum mere sath chal ke dekh to lo

    ghar se bahar wahi hai virani

    ghar se bahar nikal ke dekh to lo

    aasmanon mein hongi parwazen

    girne walo sanbhal ke dekh to lo

    dil ki mahfil mein chand utrenge

    gham ke shoale nigal ke dekh to lo

    zulm sah kar bhi 'faiz' chup kyon ho

    kuchh sharare ugal ke dekh to lo

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now