apna saya dekh kar main be-tahasha Dar gaya
apnā saaya dekh kar maiñ be-tahāsha Dar gayā
hū-ba-hū vaisā lagā jo mere hāthoñ mar gayā
halke se husn-e-tabassum kā bhī andāza huā
bojh saare din kā le kar jab maiñ apne ghar gayā
phal lade us peḌ par phir paḌ gayā pahra kaḌā
pattiyoñ ko chūmtā jab san se ik patthar gayā
kuchh makīnoñ meñ 'ajab tabdīliyāñ paa.ī ga.iiñ
us baḌī building meñ jab kuchh roz vo rah kar gayā
tīliyoñ kī saḳht-jānī aur merī jidd-o-jahd
phir kahāñ parvāz kī ḳhvāhish rahe jab par gayā
apnī āzādī pe maiñ ik chor kā mashkūr huuñ
pair jis chādar meñ phailātā thā vo le kar gayā
apna saya dekh kar main be-tahasha Dar gaya
hu-ba-hu waisa laga jo mere hathon mar gaya
halke se husn-e-tabassum ka bhi andaza hua
bojh sare din ka le kar jab main apne ghar gaya
phal lade us peD par phir paD gaya pahra kaDa
pattiyon ko chumta jab san se ek patthar gaya
kuchh makinon mein 'ajab tabdiliyan pai gain
us baDi building mein jab kuchh roz wo rah kar gaya
tiliyon ki saKHt-jaani aur meri jidd-o-jahd
phir kahan parwaz ki KHwahish rahe jab par gaya
apni aazadi pe main ek chor ka mashkur hun
pair jis chadar mein phailata tha wo le kar gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.