apna tumhein jo kah uThe diwana-war hum
apnā tumheñ jo kah uThe dīvāna-vār ham
kuchh be-qarār aap the kuchh be-qarār ham
qaa.em haiñ phuul ḳhaar se gulshan key raunaqeñ
husn-e-bahār aap haiñ dard-e-bahār ham
duniyā-e-husn-o-ishq ke asrār khul ga.e
apne alam ke jab se hue rāzdār ham
uḌtī hai ḳhaak jaise havāoñ ke saath saath
pahuñche haiñ manziloñ pe yuuñ misl-e-ġhubār ham
pur-nūr jis ke nuur se shām-e-alam huī
us 'raushnī' ko DhūñDte haiñ be-qarār ham
apna tumhein jo kah uThe diwana-war hum
kuchh be-qarar aap the kuchh be-qarar hum
qaem hain phul KHar se gulshan key raunaqen
husn-e-bahaar aap hain dard-e-bahaar hum
duniya-e-husn-o-ishq ke asrar khul gae
apne alam ke jab se hue raazdar hum
uDti hai KHak jaise hawaon ke sath sath
pahunche hain manzilon pe yun misl-e-ghubar hum
pur-nur jis ke nur se sham-e-alam hui
us 'raushni' ko DhunDte hain be-qarar hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.