apne aangan pali miTTi
apne āñgan paalī miTTī
ham ne ḳhushbū vaalī miTTī
bārish kī pahlī būñdoñ ne
soñdhī sī kar Daalī miTTī
yaad ḳhudā kī aa.ī us ko
jis ne but meñ Dhālī miTTī
aapas kī chāhat meñ gum haiñ
biij kiyārī maalī miTTī
bhar jaatī haiñ sāñseñ āḳhir
rah jaatī hai ḳhālī miTTī
is meñ bo kar diip lahū ke
ham ne aur ujālī miTTī
maañg rahī thī qarz zamīñ kā
phir ik baar savālī miTTī
apnī jaan kī qīmat de kar
ham ne aaj bachā lī miTTī
apne aangan pali miTTi
hum ne KHushbu wali miTTi
barish ki pahli bundon ne
sondhi si kar Dali miTTi
yaad KHuda ki aai us ko
jis ne but mein Dhaali miTTi
aapas ki chahat mein gum hain
bij kiyari mali miTTi
bhar jati hain sansen aaKHir
rah jati hai KHali miTTi
is mein bo kar dip lahu ke
hum ne aur ujali miTTi
mang rahi thi qarz zamin ka
phir ek bar sawali miTTi
apni jaan ki qimat de kar
hum ne aaj bacha li miTTi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.