apne aansu chhupa nahin sakte
apne aañsū chhupā nahīñ sakte
ham tirā ġham uThā nahīñ sakte
dil dukhāte ho bevafā kah kar
kyā mujhe aazmā nahīñ sakte
ban ga.ī hai jo dāstān-e-hayāt
ham vo qissa bhulā nahīñ sakte
kaise kah deñ ki tum masīhā ho
ek murda jalā nahīñ sakte
ab kahāñ vo dimāġh hai 'ḳhurshīd'
ab to kuchh gungunā nahīñ sakte
apne aansu chhupa nahin sakte
hum tera gham uTha nahin sakte
dil dukhate ho bewafa kah kar
kya mujhe aazma nahin sakte
ban gai hai jo dastan-e-hayat
hum wo qissa bhula nahin sakte
kaise kah den ki tum masiha ho
ek murda jala nahin sakte
ab kahan wo dimagh hai 'KHurshid'
ab to kuchh gunguna nahin sakte
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.