apne aapko yun samjhate rahte hain
apne aap ko yuuñ samjhāte rahte haiñ
ummīdoñ ke par sahlāte rahte hai
apne ghar meñ ghar jaisī ik baat to hai
dukh-sukh dono aate jaate rahte haiñ
tasvīroñ kā shauq kahāñ tak le aayā
parchhā.īñ pe aks banāte rahte haiñ
apnā zabt nā TuuTe is ke ḳhātir ham
dīvāroñ ko dard sunāte rahte haiñ
apne aap ko yun samjhate rahte hain
ummidon ke par sahlate rahte hai
apne ghar mein ghar jaisi ek baat to hai
dukh-sukh dono aate jate rahte hain
taswiron ka shauq kahan tak le aaya
parchhain pe aks banate rahte hain
apna zabt na TuTe is ke KHatir hum
diwaron ko dard sunate rahte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.