apne adhure KHwab ki tabir khinch li
apne adhūre ḳhvāb kī tā'bīr khīñch lī
āñkhoñ ne kū-e-yār kī tasvīr khīñch lī
shāḳh-e-shajar se khiltā huā phuul toḌ kar
maalī ne gul se husn kī tāsīr khīñch lī
bal khā ke zulf-e-yār yuuñ chehre pe aa girī
jaise ki shahsavār ne shamshīr khīñch lī
munsif kā 'adl dekhiye zardār ke liye
ġhurbat-zada ke haath se jāgīr khīñch lī
āñkhoñ se merī hazrat-e-yāqūb ne kahā
yūsuf tirī judā.ī ne tanvīr khīñch lī
bilkul safed ho ga.e mere siyāh baal
ayyām-e-ġham ne raunaq-e-taqdīr khīñch lī
us ke sipurd kar ke ujāloñ kī anjuman
'mehvar' ne apnī samt shab-e-tīr khīñch lī
apne adhure KHwab ki ta'bir khinch li
aankhon ne ku-e-yar ki taswir khinch li
shaKH-e-shajar se khilta hua phul toD kar
mali ne gul se husn ki tasir khinch li
bal kha ke zulf-e-yar yun chehre pe aa giri
jaise ki shahsawar ne shamshir khinch li
munsif ka 'adl dekhiye zardar ke liye
ghurbat-zada ke hath se jagir khinch li
aankhon se meri hazrat-e-yaqub ne kaha
yusuf teri judai ne tanwir khinch li
bilkul safed ho gae mere siyah baal
ayyam-e-gham ne raunaq-e-taqdir khinch li
us ke sipurd kar ke ujalon ki anjuman
'mehwar' ne apni samt shab-e-tir khinch li
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.