apne ahd-e-wafa ko bhul gae
apne ahd-e-vafā ko bhuul ga.e
tum to bilkul ḳhudā ko bhuul ga.e
kuchh na pūchh intihā-e-rañj-e-firāq
dard pā kar davā ko bhuul ga.e
ham ne yād-e-butāñ meñ dam toḌā
marte marte ḳhudā ko bhuul ga.e
un kī bātoñ ko yaad kartā huuñ
jo mirī iltijā ko bhuul ga.e
darmiyānī ta.alluqāt na pūchh
ibtidā intihā ko bhuul ga.e
un se do din bhī chaah nibh na sakī
'muztar'-e-be-navā ko bhuul ga.e
apne ahd-e-wafa ko bhul gae
tum to bilkul KHuda ko bhul gae
kuchh na puchh intiha-e-ranj-e-firaq
dard pa kar dawa ko bhul gae
hum ne yaad-e-butan mein dam toDa
marte marte KHuda ko bhul gae
un ki baaton ko yaad karta hun
jo meri iltija ko bhul gae
darmiyani talluqat na puchh
ibtida intiha ko bhul gae
un se do din bhi chah nibh na saki
'muztar'-e-be-nawa ko bhul gae
- Book : Khirman (Part-1) (Pg. 97)
- Author : Muztar Khairabadi
- Publication : Javed Akhtar (2015)
- Edition : 2015
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.