apne ahd-e-zawal se nikli
apne ahd-e-zavāl se niklī
ek machhlī ki jaal se niklī
gum huī mustaqil añdheroñ meñ
koī sūrat ḳhayāl se niklī
aah raunaq jo thī mire ghar kī
arsa-e-māh-o-sāl se niklī
pahle ik aag kā samundar thā
barq mere jalāl se niklī
Dhal ga.ī umr to huā mālūm
aañch sī ḳhadd-o-ḳhāl se niklī
fikr tum bhī karo 'nasīm' apnī
tāzgī arz-e-hāl se niklī
apne ahd-e-zawal se nikli
ek machhli ki jal se nikli
gum hui mustaqil andheron mein
koi surat KHayal se nikli
aah raunaq jo thi mere ghar ki
arsa-e-mah-o-sal se nikli
pahle ek aag ka samundar tha
barq mere jalal se nikli
Dhal gai umr to hua malum
aanch si KHadd-o-KHal se nikli
fikr tum bhi karo 'nasim' apni
tazgi arz-e-haal se nikli
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.