apne ajdad ki KHu bu aae
apne ajdād kī ḳhū bū aa.e
kaash bachchoñ ko bhī urdu aa.e
ham chaman meñ haiñ to ye ḳhvāhish hai
apne hisse meñ bhī ḳhushbū aa.e
yaad aa.ī jo kisī kī to lagā
dast-e-ehsās meñ jugnū aa.e
baat niklī to ga.ī duur talak
guftugū meñ ka.ī pahlū aa.e
sab haiñ insān to phir zehnoñ meñ
kyoñ ye tafrīq-e-man-o-tū aa.e
ḳhushk āñkhoñ meñ baḌī halchal hai
baad muddat ke haiñ aañsū aa.e
apne ajdad ki KHu bu aae
kash bachchon ko bhi urdu aae
hum chaman mein hain to ye KHwahish hai
apne hisse mein bhi KHushbu aae
yaad aai jo kisi ki to laga
dast-e-ehsas mein jugnu aae
baat nikli to gai dur talak
guftugu mein kai pahlu aae
sab hain insan to phir zehnon mein
kyon ye tafriq-e-man-o-tu aae
KHushk aankhon mein baDi halchal hai
baad muddat ke hain aansu aae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.