apne andar ka kuchh ubaal nikal
apne andar kā kuchh ubaal nikāl
ai suḳhanvar nayā ḳhayāl nikāl
log malbe tale dabe hue haiñ
chhoḌ kāġhaz qalam kudāl nikāl
tū bahut vaqt le chukā hai mirā
ab mire roz-o-māh-o-sāl nikāl
yā mirī baat kā javāb banā
yā mire zehn se savāl nikāl
dekhtā huuñ maiñ terī shīshagarī
chal zarā aa.ine se baal nikāl
joḌ ā.inda ko guzishta se
aur is meñ se merā haal nikāl
is ko chūn-o-charā pasand nahīñ hai
apnī bātoñ se qīl-o-qāl nikāl
maiñ tire sāmne paḌā huā huuñ
aa.ine mere ḳhadd-o-ḳhāl nikāl
tū to kahtā thā saiñkaḌoñ haiñ 'azīz'
chal koī ek hī nikāl nikāl
apne andar ka kuchh ubaal nikal
ai suKHanwar naya KHayal nikal
log malbe tale dabe hue hain
chhoD kaghaz qalam kudal nikal
tu bahut waqt le chuka hai mera
ab mere roz-o-mah-o-sal nikal
ya meri baat ka jawab bana
ya mere zehn se sawal nikal
dekhta hun main teri shishagari
chal zara aaine se baal nikal
joD aainda ko guzishta se
aur is mein se mera haal nikal
is ko chun-o-chara pasand nahin hai
apni baaton se qil-o-qal nikal
main tere samne paDa hua hun
aaine mere KHadd-o-KHal nikal
tu to kahta tha sainkaDon hain 'aziz'
chal koi ek hi nikal nikal
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.