apne andar ki jo hairani se bahar aate
apne andar kī jo hairānī se bāhar aate
roz-marra kī pareshānī se bāhar aate
jīte-jī toḌte kis tarah tilism-e-vahshat
kaise is ġhūl-e-bayābānī se bāhar aate
ḳhud pe kyā aur bhī khulne kī tamannā karte
ya.anī ham aur bhī uryānī se bāhar aate
toḌte ek hī tiilī qafas-e-hijr kī ham
ek hī halqa-e-zindānī se bāhar aate
naḳhl-e-iz.hār kī ham bunte kabhī sabz qabā
ik na.ī sūrat-e-imkānī se bāhar aate
muntazir kaun sā thā shahr-e-tarab jis ke liye
ham kabhī dasht kī vīrānī se bāhar aate
kaun se goshe meñ phir miltā sukūñ 'yāvar' ko
vo agar terī nigahbānī se bāhar aate
apne andar ki jo hairani se bahar aate
roz-marra ki pareshani se bahar aate
jite-ji toDte kis tarah tilism-e-wahshat
kaise is ghul-e-bayabani se bahar aate
KHud pe kya aur bhi khulne ki tamanna karte
yani hum aur bhi uryani se bahar aate
toDte ek hi tili qafas-e-hijr ki hum
ek hi halqa-e-zindani se bahar aate
naKHl-e-izhaar ki hum bunte kabhi sabz qaba
ek nai surat-e-imkani se bahar aate
muntazir kaun sa tha shahr-e-tarab jis ke liye
hum kabhi dasht ki virani se bahar aate
kaun se goshe mein phir milta sukun 'yawar' ko
wo agar teri nigahbani se bahar aate
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.