apne andar ki taraf lauTte hain
apne andar kī taraf lauTte haiñ
aao ab ghar kī taraf lauTte haiñ
ek maiñ aur ye tāroñ kā hujūm
thak ke bistar kī taraf lauTte haiñ
saare bhaTke hue neze āḳhir
apne mehvar kī taraf lauTte haiñ
ab ke har ḳhvāb huā hai ḳhanjar
pichhle manzar kī taraf lauTte haiñ
āḳhirash fat.h koī ho ki shikast
log lashkar kī taraf lauTte haiñ
raat bhar kaam kiyā sheroñ par
sub.h daftar kī taraf lauTte haiñ
apne andar ki taraf lauTte hain
aao ab ghar ki taraf lauTte hain
ek main aur ye taron ka hujum
thak ke bistar ki taraf lauTte hain
sare bhaTke hue neze aaKHir
apne mehwar ki taraf lauTte hain
ab ke har KHwab hua hai KHanjar
pichhle manzar ki taraf lauTte hain
aaKHirash fath koi ho ki shikast
log lashkar ki taraf lauTte hain
raat bhar kaam kiya sheron par
subh daftar ki taraf lauTte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.