apne andhe hone pe chillaega
apne andhe hone pe chillā.egā
sūraj jab bhī shaam se milne aa.egā
merī nazreñ jo kuchh kahne uTTheñgī
vo sunñe se pahle hī mar jā.egā
bāñjh āñkhoñ kī rut kā paañv bhārī hai
ab ye mausam sāvan kā kahlā.egā
itnī roz se muTThī band karūñgī maiñ
ḳhuun bahegā rekhā.eñ ban jā.egā
merī chhat par roz patangeñ uljheñgī
roz vo lene mere ghar par aa.egā
ek ik por meñ utrī hai chāhat kī thakan
aane vaalā lamha vahshat lā.egā
jism ke andar dhaḌkan kā hogā nīlām
aur vo pahlī bolī dene aa.egā
'aks jise tum bhī samjho maiñ bhī jānūñ
phail gayā to chehroñ ko sahmā.egā
maiñ to 'humairā' jaisī bhī huuñ us kī huuñ
dekheñ ab ke vo kis ruup meñ aa.egā
apne andhe hone pe chillaega
suraj jab bhi sham se milne aaega
meri nazren jo kuchh kahne uTThengi
wo sunne se pahle hi mar jaega
banjh aankhon ki rut ka panw bhaari hai
ab ye mausam sawan ka kahlaega
itni roz se muTThi band karungi main
KHun bahega rekhaen ban jaega
meri chhat par roz patangen uljhengi
roz wo lene mere ghar par aaega
ek ek por mein utri hai chahat ki thakan
aane wala lamha wahshat laega
jism ke andar dhaDkan ka hoga nilam
aur wo pahli boli dene aaega
'aks jise tum bhi samjho main bhi jaanun
phail gaya to chehron ko sahmaega
main to 'humaira' jaisi bhi hun us ki hun
dekhen ab ke wo kis rup mein aaega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.