apne bare mein wo gar puchh len phir kya kahiye
apne bare mein wo gar puchh len phir kya kahiye
Ustad Vajahat Husain Khan
MORE BYUstad Vajahat Husain Khan
apne baare meñ vo gar pūchh leñ phir kyā kahiye
barmalā jān-e-jigar jān-e-tamannā kahiye
us kī jādū-bharī āñkheñ haiñ ki do paimāne
hāsil-e-zīst use husn-e-sarāpā kahiye
laakh maiñ nīchī nigāheñ rakhūñ kyā hotā hai
vo agar ḳhud ko numāyāñ kareñ phir kyā kahiye
jis ke dekhe se mire dil ko sukūñ miltā hai
aise insāñ ko ghane peḌ kā saayā kahiye
vo ki har baat pe kahte haiñ mujhe tū kyā hai
aise andāz-e-takallum ko bhalā kyā kahiye
'asr-e-hāzir meñ to sach kahne se Dar lagtā hai
farsh ko 'arsh yā qātil ko masīhā kahiye
jis kī guftār yā lahje meñ kashish hai 'dā.em'
us kī har ek adā aañkh kā dhokā kahiye
apne bare mein wo gar puchh len phir kya kahiye
barmala jaan-e-jigar jaan-e-tamanna kahiye
us ki jadu-bhari aankhen hain ki do paimane
hasil-e-zist use husn-e-sarapa kahiye
lakh main nichi nigahen rakhun kya hota hai
wo agar KHud ko numayan karen phir kya kahiye
jis ke dekhe se mere dil ko sukun milta hai
aise insan ko ghane peD ka saya kahiye
wo ki har baat pe kahte hain mujhe tu kya hai
aise andaz-e-takallum ko bhala kya kahiye
'asr-e-hazir mein to sach kahne se Dar lagta hai
farsh ko 'arsh ya qatil ko masiha kahiye
jis ki guftar ya lahje mein kashish hai 'daem'
us ki har ek ada aankh ka dhoka kahiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.