apne bachchon se pal pal ke dukh
apne bachchoñ se paal paal ke dukh
ham ne rakkhe tire sañbhāl ke dukh
ek din kī ḳhurāk hai merī
aap ke haiñ jo puure saal ke dukh
merī ḳhushiyāñ bhī rauñdte haiñ sabhī
us ke rakhte haiñ sab sañbhāl ke dukh
maiñ ne mehnat se sab kamā.e haiñ
mere dukh haiñ sabhī halāl ke dukh
un ko darkār hai samā'at bhī
dil se dekhe kabhī nikāl ke dukh
aap ke dukh to aam hī dukh haiñ
mere dukh haiñ sabhī kamāl ke dukh
aap english meñ baat karte haiñ
aap kyā jāneñ miim daal ke dukh
apne bachchon se pal pal ke dukh
hum ne rakkhe tere sanbhaal ke dukh
ek din ki KHurak hai meri
aap ke hain jo pure sal ke dukh
meri KHushiyan bhi raundte hain sabhi
us ke rakhte hain sab sanbhaal ke dukh
main ne mehnat se sab kamae hain
mere dukh hain sabhi halal ke dukh
un ko darkar hai sama'at bhi
dil se dekhe kabhi nikal ke dukh
aap ke dukh to aam hi dukh hain
mere dukh hain sabhi kamal ke dukh
aap english mein baat karte hain
aap kya jaanen mim dal ke dukh
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.