apne badan ki aag mein jalna paDa mujhe
apne badan kī aag meñ jalnā paḌā mujhe
phir ye huā ki raakh meñ Dhalnā paḌā mujhe
āsān itnī hotī nahīñ raah ishq kī
phūloñ ke saath kāñToñ pe chalnā paḌā mujhe
sūraj ġhamoñ kā sar pe rahā hai tamām umr
aur qatre qatre roz pighalnā paḌā mujhe
maiñ jāntā thā dukh bahut hogā mujhe magar
us kī galī se ho ke nikalnā paḌā mujhe
kab tak maiñ chhuptā rahtā bhalā tīrgī se 'qalb'
phir misl-e-āftāb nikalnā paḌā mujhe
apne badan ki aag mein jalna paDa mujhe
phir ye hua ki rakh mein Dhalna paDa mujhe
aasan itni hoti nahin rah ishq ki
phulon ke sath kanTon pe chalna paDa mujhe
suraj ghamon ka sar pe raha hai tamam umr
aur qatre qatre roz pighalna paDa mujhe
main jaanta tha dukh bahut hoga mujhe magar
us ki gali se ho ke nikalna paDa mujhe
kab tak main chhupta rahta bhala tirgi se 'qalb'
phir misl-e-aftab nikalna paDa mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.