apne bhai se ye gham-KHwari misali hai meri
apne bhaa.ī se ye ġham-ḳhvārī misālī hai mirī
apne haq se dast-bardārī misālī hai mirī
apnī barbādī ke kāġhaz par kiye haiñ dastaḳhat
sab qabīle meñ ziyāñ kaarī misālī hai mirī
dushmanī ke qā.edoñ se nā-balad huuñ maiñ magar
ye samajh leñ aap bhī yaarī misālī hai mirī
chīthaḌoñ ke rauzanoñ se surḳhiyoñ kī jhalkiyāñ
sādgī meñ aisī purkārī misālī hai mirī
aap kī shāhī se apnī ye faqīrī come nahīñ
raakh aur patthar pe sardārī misālī hai mirī
dil kī har dīvār hī dīvār-e-girya hai mujhe
ek dariyā huuñ azā-dārī misālī hai mirī
ḳhush-gumānī aur baḌh jā.egī is ke vaar se
maiñ vo muḳhlis huuñ vafādārī misālī hai mirī
apne bhai se ye gham-KHwari misali hai meri
apne haq se dast-bardari misali hai meri
apni barbaadi ke kaghaz par kiye hain dastaKHat
sab qabile mein ziyan kari misali hai meri
dushmani ke qaedon se na-balad hun main magar
ye samajh len aap bhi yari misali hai meri
chithaDon ke rauzanon se surKHiyon ki jhalkiyan
sadgi mein aisi purkari misali hai meri
aap ki shahi se apni ye faqiri come nahin
rakh aur patthar pe sardari misali hai meri
dil ki har diwar hi diwar-e-girya hai mujhe
ek dariya hun aza-dari misali hai meri
KHush-gumani aur baDh jaegi is ke war se
main wo muKHlis hun wafadari misali hai meri
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.