apne bimar-e-mohabbat ki dawa ban jaiye
apne bīmār-e-mohabbat kī davā ban jā.iye
dil dukhānā chhoḌ diije dilrubā ban jā.iye
qaum ko gar lūTnā hai bā-salīqa lūTiye
chhoḌiye Dākā-zanī aur rahnumā ban jā.iye
zindagī meñ jo huā de deñge mahshar meñ javāb
kabatullah jā.iye aur pārsā ban jā.iye
aaj ke mallāhoñ par kiije na bilkul e'tibār
jab bhañvar meñ aa.e kashtī nāḳhudā ban jā.iye
jo javānī meñ huā us ko bhulā diije bhalā
ālam-e-pīrī hai 'maḳhfī' pārsā ban jā.iye
apne bimar-e-mohabbat ki dawa ban jaiye
dil dukhana chhoD dije dilruba ban jaiye
qaum ko gar luTna hai ba-saliqa luTiye
chhoDiye Daka-zani aur rahnuma ban jaiye
zindagi mein jo hua de denge mahshar mein jawab
kabatullah jaiye aur parsa ban jaiye
aaj ke mallahon par kije na bilkul e'tibar
jab bhanwar mein aae kashti naKHuda ban jaiye
jo jawani mein hua us ko bhula dije bhala
aalam-e-piri hai 'maKHfi' parsa ban jaiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.