apne bimar sitare ka mudawa hoti
apne bīmār sitāre kā mudāvā hotī
dard kī raat agar anjuman-ārā hotī
kuchh to ho jaatī tasallī dil-e-pazh-murda ko
ghar kī vīrānī jo sāmān-e-tamāshā hotī
zindagī apnī is āshufta-mizājī se banī
ye na hotī to mirī zaat bhī sahrā hotī
saarī raunaq tire hone ke yaqīñ meñ hai nihāñ
tū na hotā to bhalā kaahe ko duniyā hotī
haiñ bahut husn meñ yaañ nādir-o-kamyāb to log
koī sūrat nahīñ aisī ki jo yaktā hotī
raushnī ke liye phirte rahe dar dar ham log
koī dahlīz to mehrāb kā dhoka hotī
terī ta.azīm se āġhāz jo kartā 'rāshid'
us kī duniyā tire irfān kā gosha hotī
apne bimar sitare ka mudawa hoti
dard ki raat agar anjuman-ara hoti
kuchh to ho jati tasalli dil-e-pazh-murda ko
ghar ki virani jo saman-e-tamasha hoti
zindagi apni is aashufta-mizaji se bani
ye na hoti to meri zat bhi sahra hoti
sari raunaq tere hone ke yaqin mein hai nihan
tu na hota to bhala kahe ko duniya hoti
hain bahut husn mein yan nadir-o-kamyab to log
koi surat nahin aisi ki jo yakta hoti
raushni ke liye phirte rahe dar dar hum log
koi dahliz to mehrab ka dhoka hoti
teri tazim se aaghaz jo karta 'rashid'
us ki duniya tere irfan ka gosha hoti
- Book : Ghazal Ke Rang (Pg. 155)
- Author : Akram Naqqash, Sohil Akhtar
- Publication : Aflaak Publications, Gulbarga (2014)
- Edition : 2014
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.