apne bojh se TuT raha hun
apne bojh se TuuT rahā huuñ
maiñ bhī kāñch kā ik TukḌā huuñ
koī kahānī yaad nahīñ hai
raddī kāġhaz bech chukā huuñ
ziist ne apne par phailā.e
ret ke sahrāoñ meñ khaḌā huuñ
apnī baat kahūñ to kyūñkar
un kī bātoñ meñ uljhā huuñ
sab miTTī ke saudāgar haiñ
jin ke bhī hāthoñ meñ bikā huuñ
mujh se tark-e-ta.alluq kar lo
maiñ andar se TuuT chukā huuñ
tum hī becho tum hī ḳharīdo
sūd-o-ziyāñ se lā-parvā huuñ
laakh sañvāro laakh bigāḌo
vaisā rahūñgā maiñ jaisā huuñ
nuqta ek huuñ 'īraj' lekin
samtoñ hī samtoñ meñ baTā huuñ
apne bojh se TuT raha hun
main bhi kanch ka ek TukDa hun
koi kahani yaad nahin hai
raddi kaghaz bech chuka hun
zist ne apne par phailae
ret ke sahraon mein khaDa hun
apni baat kahun to kyunkar
un ki baaton mein uljha hun
sab miTTi ke saudagar hain
jin ke bhi hathon mein bika hun
mujh se tark-e-talluq kar lo
main andar se TuT chuka hun
tum hi becho tum hi KHarido
sud-o-ziyan se la-parwa hun
lakh sanwaro lakh bigaDo
waisa rahunga main jaisa hun
nuqta ek hun 'iraj' lekin
samton hi samton mein baTa hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.