apne chehre pe sharafat ko sajae rahiye
apne chehre pe sharāfat ko sajā.e rahiye
saaf kapḌoñ meñ har ik aib chhupā.e rahiye
sach ko sach kahne ke anjām se Dar lagtā hai
is liye jhuuT kaleje se lagā.e rahiye
chashm-e-sāqī kī ināyat kā bharam rakhnā hai
be-piye bazm meñ hangāma machā.e rahiye
apne qātil ko kabhī zahmat-e-tash.hīr na deñ
apnā sar apne hī neze pe uThā.e rahiye
sub.h gar hogī to pahchān liye jā.eñge
sho.abde shab ke añdhere meñ dikhā.e rahiye
un ke kūche meñ jo jaanā hai to hushiyār raheñ
barf ko aag ke sho.aloñ se bachā.e rahiye
lākhoñ ilzām se bachne kā salīqa ye hai
mujh ko ilzām kī suulī pe chaḌhā.e rahiye
dard āñkhoñ se Tapak jā.egā aañsū ban kar
laakh hoñToñ pe tabassum ko sajā.e rahiye
aap bardāsht na kar pā.eñge 'nāzim' kā vajūd
ye jo dīvāna banā hai to banā.e rahiye
apne chehre pe sharafat ko sajae rahiye
saf kapDon mein har ek aib chhupae rahiye
sach ko sach kahne ke anjam se Dar lagta hai
is liye jhuT kaleje se lagae rahiye
chashm-e-saqi ki inayat ka bharam rakhna hai
be-piye bazm mein hangama machae rahiye
apne qatil ko kabhi zahmat-e-tashhir na den
apna sar apne hi neze pe uThae rahiye
subh gar hogi to pahchan liye jaenge
shoabde shab ke andhere mein dikhae rahiye
un ke kuche mein jo jaana hai to hushiyar rahen
barf ko aag ke shoalon se bachae rahiye
lakhon ilzam se bachne ka saliqa ye hai
mujh ko ilzam ki suli pe chaDhae rahiye
dard aankhon se Tapak jaega aansu ban kar
lakh honTon pe tabassum ko sajae rahiye
aap bardasht na kar paenge 'nazim' ka wajud
ye jo diwana bana hai to banae rahiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.