Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

apne daftar se nikalte hain to ghar jate hain

Shareef Munawwar

apne daftar se nikalte hain to ghar jate hain

Shareef Munawwar

MORE BYShareef Munawwar

    Interesting Fact

    1976

    apne daftar se nikalte haiñ to ghar jaate haiñ

    log jiine tag-o-dau meñ bhī mar jaate haiñ

    rāt-bhar hote haiñ kis tarah na-jāne yakjā

    sub.h-dam shahr saḌkoñ pe bikhar jaate haiñ

    shāḳh-e-gul kitnī fasloñ ke uThātī hai azaab

    rang-o-bū phuul meñ yuuñ nahīñ bhar jaate haiñ

    hādse rahte haiñ yuuñ umr-e-ravāñ ke hamrāh

    jaise amvāj ke hamrāh bhañvar jaate haiñ

    ajnabī shahr meñ shāyad koī apnā mil jaa.e

    jis jagah bhiiḌ nazar aa.e Thahar jaate haiñ

    jab bhī mar jaatā hai muflis kisī kumbe kafīl

    ek ke saath ka.ī aur bhī mar jaate haiñ

    mujh ko mālūm hai jab maiñ nahīñ hotā maujūd

    ḳhud-baḳhud aap ke gesū bhī sañvar jaate haiñ

    apne daftar se nikalte hain to ghar jate hain

    log jine ki tag-o-dau mein bhi mar jate hain

    raat-bhar hote hain kis tarah na-jaane yakja

    subh-dam shahr ki saDkon pe bikhar jate hain

    shaKH-e-gul kitni hi faslon ke uThati hai azab

    rang-o-bu phul mein yun hi nahin bhar jate hain

    hadse rahte hain yun umr-e-rawan ke hamrah

    jaise amwaj ke hamrah bhanwar jate hain

    ajnabi shahr mein shayad koi apna mil jae

    jis jagah bhiD nazar aae Thahar jate hain

    jab bhi mar jata hai muflis kisi kumbe ka kafil

    ek ke sath kai aur bhi mar jate hain

    mujh ko malum hai jab main nahin hota maujud

    KHud-baKHud aap ke gesu bhi sanwar jate hain

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now