apne didar ki hasrat mein tu mujhko sarapa dil kar de
apne didar ki hasrat mein tu mujhko sarapa dil kar de
Bedam Shah Warsi
MORE BYBedam Shah Warsi
apne dīdār kī hasrat meñ tū mujh ko sarāpā dil kar de
har qatra-e-dil ko qais banā har zarre ko mahmil kar de
duniyā-e-husn-o-ishq mirī karnā hai to yuuñ kāmil kar de
apne jalve merī hairat nazzāre meñ shāmil kar de
yaañ tuur o kalīm nahīñ na sahī maiñ hāzir huuñ le phūñk mujhe
parde ko uThā de mukhḌe se barbād sukūn-e-dil kar de
gar qulzum-e-ishq hai be-sāhil ai ḳhizr to be-sāhil hī sahī
jis mauj meñ Duube kashti-e-dil us mauj ko tū sāhil kar de
ai dard atā karne vaale tū dard mujhe itnā de de
jo donoñ jahāñ kī vus.at ko ik gosha-e-dāman-e-dil kar de
har sū se ġhamoñ ne gherā hai ab hai to sahārā terā hai
mushkil āsāñ karne vaale āsān mirī mushkil kar de
'bedam' us yaad ke maiñ sadqe us dard-e-mohabbat ke qurbāñ
jo jiinā bhī dushvār kare aur marnā bhī mushkil kar de
apne didar ki hasrat mein tu mujh ko sarapa dil kar de
har qatra-e-dil ko qais bana har zarre ko mahmil kar de
duniya-e-husn-o-ishq meri karna hai to yun kaamil kar de
apne jalwe meri hairat nazzare mein shamil kar de
yan tur o kalim nahin na sahi main hazir hun le phunk mujhe
parde ko uTha de mukhDe se barbaad sukun-e-dil kar de
gar qulzum-e-ishq hai be-sahil ai KHizr to be-sahil hi sahi
jis mauj mein Dube kashti-e-dil us mauj ko tu sahil kar de
ai dard ata karne wale tu dard mujhe itna de de
jo donon jahan ki wusat ko ek gosha-e-daman-e-dil kar de
har su se ghamon ne ghera hai ab hai to sahaara tera hai
mushkil aasan karne wale aasan meri mushkil kar de
'bedam' us yaad ke main sadqe us dard-e-mohabbat ke qurban
jo jina bhi dushwar kare aur marna bhi mushkil kar de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.