apne dil-e-muztar ko betab hi rahne do
apne dil-e-muztar ko betāb hī rahne do
chalte raho manzil ko nāyāb hī rahne do
tohfe meñ anokhā zaḳhm hālāt ne baḳhshā hai
ehsās kā ḳhuuñ de kar shādāb hī rahne do
vo haath meñ aatā hai aur haath nahīñ aatā
sīmāb-sifat paikar sīmāb hī rahne do
gahrā.ī meñ ḳhatroñ kā imkāñ to ziyāda hai
dariyā-e-ta.alluq ko pāyāb hī rahne do
ye mujh pe karam hogā hisse meñ mire ai dost
iḳhlās o muravvat ke ādāb hī rahne do
ib.hām kā parda hai tashkīk kā hai aalam
tum zauq-e-tajassus ko betāb hī rahne do
mat jaao qarīb us ke tum ek gahan ban kar
āñgan meñ use apnā mahtāb hī rahne do
jab tak vo nahīñ aatā ik ḳhvāb-e-hasīñ ho kar
tum apne shabistāñ ko be-ḳhvāb hī rahne do
vo barf kā toda yā patthar nahīñ ban jaa.e
har qatra-e-ashk-e-ġham sailāb hī rahne do
vo bahr-e-fanā meñ ḳhud Duubā hai to achchhā hai
filhāl 'zafar' us ko ġharqāb hī rahne do
apne dil-e-muztar ko betab hi rahne do
chalte raho manzil ko nayab hi rahne do
tohfe mein anokha zaKHm haalat ne baKHsha hai
ehsas ka KHun de kar shadab hi rahne do
wo hath mein aata hai aur hath nahin aata
simab-sifat paikar simab hi rahne do
gahrai mein KHatron ka imkan to ziyaada hai
dariya-e-talluq ko payab hi rahne do
ye mujh pe karam hoga hisse mein mere ai dost
iKHlas o murawwat ke aadab hi rahne do
ibham ka parda hai tashkik ka hai aalam
tum zauq-e-tajassus ko betab hi rahne do
mat jao qarib us ke tum ek gahan ban kar
aangan mein use apna mahtab hi rahne do
jab tak wo nahin aata ek KHwab-e-hasin ho kar
tum apne shabistan ko be-KHwab hi rahne do
wo barf ka toda ya patthar nahin ban jae
har qatra-e-ashk-e-gham sailab hi rahne do
wo bahr-e-fana mein KHud Duba hai to achchha hai
filhaal 'zafar' us ko gharqab hi rahne do
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.