apne dil ka haal na kahna kaisa lagta hai
apne dil kā haal na kahnā kaisā lagtā hai
tum ko apnā chup chup rahnā kaisā lagtā hai
dukh kī būñdeñ kyā tum ko bhī khātī rahtī haiñ
āhista āhista Dhahnā kaisā lagtā hai
dard bharī rāteñ jis dam halkore detī haiñ
dariyāoñ ke ruḳh par bahnā kaisā lagtā hai
maiñ to apnī dhun meñ chakrāyā sā phirtā huuñ
tum ko apnī mauj meñ rahnā kaisā lagtā hai
kyā tum bhī sāhil kī sūrat kaTte rahte ho
pal pal ġham kī lahreñ sahnā kaisā lagtā hai
kyā shāmeñ tum ko bhī shab bhar be-kal rakhtī haiñ
tum sūraj ho tum ko lahnā kaisā lagtā hai
kyā tum bhī galiyoñ meñ ghar kī vus.at paate ho
tum ko ghar se bāhar rahnā kaisā lagtā hai
kam-āhañg suroñ meñ tum kyā gaate rahte ho
kuchh bhī na sunñā kuchh bhī na kahnā kaisā lagtā hai
dard to sāñsoñ meñ baste haiñ kaun dikhā.e tumheñ
phūloñ par ḳhushbū kā gahna kaisā lagtā hai
apne dil ka haal na kahna kaisa lagta hai
tum ko apna chup chup rahna kaisa lagta hai
dukh ki bunden kya tum ko bhi khati rahti hain
aahista aahista Dhahna kaisa lagta hai
dard bhari raaten jis dam halkore deti hain
dariyaon ke ruKH par bahna kaisa lagta hai
main to apni dhun mein chakraya sa phirta hun
tum ko apni mauj mein rahna kaisa lagta hai
kya tum bhi sahil ki surat kaTte rahte ho
pal pal gham ki lahren sahna kaisa lagta hai
kya shamen tum ko bhi shab bhar be-kal rakhti hain
tum suraj ho tum ko lahna kaisa lagta hai
kya tum bhi galiyon mein ghar ki wusat pate ho
tum ko ghar se bahar rahna kaisa lagta hai
kam-ahang suron mein tum kya gate rahte ho
kuchh bhi na sunna kuchh bhi na kahna kaisa lagta hai
dard to sanson mein baste hain kaun dikhae tumhein
phulon par KHushbu ka gahna kaisa lagta hai
- Book : Funoon (Monthly) (Pg. 532)
- Author : Ahmad Nadeem Qasmi
- Publication : 4 Maklood Road, Lahore (25Edition Nov. Dec. 1986)
- Edition : 25Edition Nov. Dec. 1986
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.