apne dil ka haal sunana kam se kam
apne dil kā haal sunānā kam se kam
āñkhoñ meñ aañsū bhī laanā kam se kam
milne vaalī chīzeñ ḳhud mil jaatī haiñ
apne dāman ko phailānā kam se kam
dil ke rishte dhan-daulat par bhārī haiñ
duniyā ke dastūr nibhānā kam se kam
rahzanoñ be-shak se tum luuTo ghar merā
par sapnoñ meñ sendh lagānā kam se kam
zyāda jhukne par pagḌī gir saktī hai
darbāroñ meñ shīsh jhukānā kam se kam
zyāda se zyāda sunānā sab ke man kī
apne baare meñ batlānā kam se kam
apne dil ka haal sunana kam se kam
aankhon mein aansu bhi lana kam se kam
milne wali chizen KHud mil jati hain
apne daman ko phailana kam se kam
dil ke rishte dhan-daulat par bhaari hain
duniya ke dastur nibhana kam se kam
rahzanon be-shak se tum luTo ghar mera
par sapnon mein sendh lagana kam se kam
zyaada jhukne par pagDi gir sakti hai
darbaron mein shish jhukana kam se kam
zyaada se zyaada sunana sab ke man ki
apne bare mein batlana kam se kam
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.