apne dil ka kya karun kya kar raha hai aaj-kal
apne dil kā kyā karūñ kyā kar rahā hai āj-kal
pyaar se tere magar ye Dar rahā hai āj-kal
ruuh dāḳhil ho rahī hai jism meñ vāpas mire
mere andar jo ḳhalā thā bhar rahā hai āj-kal
andar aane kī ijāzat aaj tak dī hī nahīñ
par tujhe paane kī ḳhātir mar rahā hai āj-kal
apnī ḳhātir aaj tak jo baat bhī kartā na thā
dekh le ab terī ḳhātir laḌ rahā hai āj-kal
apne dil ka kya karun kya kar raha hai aaj-kal
pyar se tere magar ye Dar raha hai aaj-kal
ruh daKHil ho rahi hai jism mein wapas mere
mere andar jo KHala tha bhar raha hai aaj-kal
andar aane ki ijazat aaj tak di hi nahin
par tujhe pane ki KHatir mar raha hai aaj-kal
apni KHatir aaj tak jo baat bhi karta na tha
dekh le ab teri KHatir laD raha hai aaj-kal
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.