apne dil ko sambhaal sakta hun
apne dil ko sambhāl saktā huuñ
tujh ko hairat meñ Daal saktā huuñ
vaz.a-dārī kā paas hai varna
maiñ bhī kīchaḌ uchhāl saktā huuñ
kam na samjho ye ātish-e-dil hai
maiñ samundar ubaal saktā huuñ
toḌ duuñ āhanī usuul apne
phir maiñ sikke bhī Dhaal saktā huuñ
jaane kyuuñ hai yaqīñ qazā ko bhī
maiñ duāoñ se Taal saktā huuñ
maiñ tujhe jāntā huuñ pīchhe se
terī pagḌī uchhāl saktā huuñ
koī patthar ho koī qātil ho
sab ke aañsū nikāl saktā huuñ
maiñ ne paidā nahīñ kiyā lekin
tere har ġham ko paal saktā huuñ
maiñ jo 'aḳhtar' huuñ ek sūraj huuñ
chāñd apnā ujaal saktā huuñ
apne dil ko sambhaal sakta hun
tujh ko hairat mein Dal sakta hun
waza-dari ka pas hai warna
main bhi kichaD uchhaal sakta hun
kam na samjho ye aatish-e-dil hai
main samundar ubaal sakta hun
toD dun aahani usul apne
phir main sikke bhi Dhaal sakta hun
jaane kyun hai yaqin qaza ko bhi
main duaon se Tal sakta hun
main tujhe jaanta hun pichhe se
teri pagDi uchhaal sakta hun
koi patthar ho koi qatil ho
sab ke aansu nikal sakta hun
main ne paida nahin kiya lekin
tere har gham ko pal sakta hun
main jo 'aKHtar' hun ek suraj hun
chand apna ujal sakta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.