apne dil mein aag lagani paDti hai
apne dil meñ aag lagānī paḌtī hai
aise bhī ab raat bitānī paḌtī hai
us kī bāteñ sun kar aise uThtā huuñ
jaise apnī laash uThānī paḌtī hai
vo ḳhvāboñ meñ haath chhuḌā kar jaa.e to
nīndoñ meñ āvāz lagānī paḌtī hai
kyā ḳhushbū se maiñ us kī bach pā.ūñgā
raste meñ jo raat kī raanī paḌtī hai
ab jā kar ke baat samajh meñ aa.ī hai
lekin ab kamzor javānī paḌtī hai
apne dil mein aag lagani paDti hai
aise bhi ab raat bitani paDti hai
us ki baaten sun kar aise uThta hun
jaise apni lash uThani paDti hai
wo KHwabon mein hath chhuDa kar jae to
nindon mein aawaz lagani paDti hai
kya KHushbu se main us ki bach paunga
raste mein jo raat ki rani paDti hai
ab ja kar ke baat samajh mein aai hai
lekin ab kamzor jawani paDti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.