apne dil se koi sawal na kar
apne dil se koī savāl na kar
zindagī is qadar muhāl na kar
jo bhī aatā hai bol letā huuñ
merī bātoñ kā kuchh ḳhayāl na kar
kuchh to kāñToñ kī dāstān bhī sun
sirf phūloñ kī dekh-bhāl na kar
aadmī hai to aadmī hī ban
devtā banñe kā kamāl na kar
tū usūloñ ke in fasādoñ meñ
zindagī apnī pā.emāl na kar
tū bhī ḳhāmosh rah kabhī 'sāqī'
har jagah koī qīl-o-qāl na kar
apne dil se koi sawal na kar
zindagi is qadar muhaal na kar
jo bhi aata hai bol leta hun
meri baaton ka kuchh KHayal na kar
kuchh to kanTon ki dastan bhi sun
sirf phulon ki dekh-bhaal na kar
aadmi hai to aadmi hi ban
dewta banne ka kamal na kar
tu usulon ke in fasadon mein
zindagi apni paemal na kar
tu bhi KHamosh rah kabhi 'saqi'
har jagah koi qil-o-qal na kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.