apne dil se meri yaadon ko haTane wala
apne dil se mirī yādoñ ko haTāne vaalā
kyā mujhe bhuul gayā mujh ko bhulāne vaalā
mujh ko piine kī tamanna to bahut hai lekin
koī miltā nahīñ āñkhoñ se pilāne vaalā
muflisoñ kā vo kabhī dard nahīñ samjhegā
chand sikkoñ ke liye ḳhuun bahāne vaalā
apne bistar pe baḌe chain se so jaatā hai
apnī yādoñ se mirī niiñd uḌāne vaalā
apne dil se meri yaadon ko haTane wala
kya mujhe bhul gaya mujh ko bhulane wala
mujh ko pine ki tamanna to bahut hai lekin
koi milta nahin aankhon se pilane wala
muflison ka wo kabhi dard nahin samjhega
chand sikkon ke liye KHun bahane wala
apne bistar pe baDe chain se so jata hai
apni yaadon se meri nind uDane wala
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.