apne dushman ko kabhi pyar nahin de sakte
apne dushman ko kabhī pyaar nahīñ de sakte
dast-e-qātil meñ to talvār nahīñ de sakte
in samar-dār daraḳhtoñ se hameñ kyā hāsil
jo hameñ sāya-e-ashjār nahīñ de sakte
un kī shā.istagī-e-shauq hai takmīl-talab
apne jazboñ ko jo me.aar nahīñ de sakte
kyuuñ ta.alluq se pighal jaatā hai dil kā patthar
raaz ye sāhab-e-asrār nahīñ de sakte
'shāhida' tāj-mahal ab koī bantā bhī nahīñ
log aisā koī shāhkār nahīñ de sakte
apne dushman ko kabhi pyar nahin de sakte
dast-e-qatil mein to talwar nahin de sakte
in samar-dar daraKHton se hamein kya hasil
jo hamein saya-e-ashjar nahin de sakte
un ki shaistagi-e-shauq hai takmil-talab
apne jazbon ko jo mear nahin de sakte
kyun talluq se pighal jata hai dil ka patthar
raaz ye sahab-e-asrar nahin de sakte
'shahida' taj-mahal ab koi banta bhi nahin
log aisa koi shahkar nahin de sakte
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.