apne dushman ko to main aisi saza deti hun
apne dushman ko to maiñ aisī sazā detī huuñ
qatl kartī nahīñ nazroñ se girā detī huuñ
be-adab log jo hote haiñ mirī nazroñ meñ
un ko mahfil se nahīñ dil se uThā detī huuñ
zo.am ho jis meñ to narmī se nahīñ miltī maiñ
talḳh-goī se hī kamzor banā detī huuñ
rasm-e-ulfat ko nibhāne ke liye maiñ aksar
ḳhud ko nā-karda gunāhoñ kī sazā detī huuñ
dil mirā yuuñ hī nahīñ hotā hai 'asmā' halkā
apnī in āñkhoñ se aañsū jo bahā detī huuñ
apne dushman ko to main aisi saza deti hun
qatl karti nahin nazron se gira deti hun
be-adab log jo hote hain meri nazron mein
un ko mahfil se nahin dil se uTha deti hun
zoam ho jis mein to narmi se nahin milti main
talKH-goi se hi kamzor bana deti hun
rasm-e-ulfat ko nibhane ke liye main aksar
KHud ko na-karda gunahon ki saza deti hun
dil mera yun hi nahin hota hai 'asma' halka
apni in aankhon se aansu jo baha deti hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.