apne ehsas se bahar nahin hone deta
apne ehsās se bāhar nahīñ hone detā
raaz zāhir bhī ye mujh par nahīñ hone detā
ḳhauf-e-rusvā.ī se kar detā hai hairāñ aisā
merī āñkhoñ ko samundar nahīñ hone detā
mom kar detā hai jab lauT ke aa jaatā hai
mujh ko furqat meñ vo patthar nahīñ hone detā
dekhtā huuñ to kabhī chāñd kabhī phuul hai vo
apnī sūrat mujhe azbar nahīñ hone detā
jī meñ hai uḌ ke chalā jā.ūñ jahāñ rahtā hai
vo mirā ghar bhī mirā ghar nahīñ hone detā
jab bhī miltā hai to bas TuuT ke miltā hai mujhe
apne ġham kā mujhe ḳhūgar nahīñ hone detā
ruuTh bhī jaate haiñ 'ja.afar' to manā lene meñ
mujh ko apne se vo behtar nahīñ hone detā
apne ehsas se bahar nahin hone deta
raaz zahir bhi ye mujh par nahin hone deta
KHauf-e-ruswai se kar deta hai hairan aisa
meri aankhon ko samundar nahin hone deta
mom kar deta hai jab lauT ke aa jata hai
mujh ko furqat mein wo patthar nahin hone deta
dekhta hun to kabhi chand kabhi phul hai wo
apni surat mujhe azbar nahin hone deta
ji mein hai uD ke chala jaun jahan rahta hai
wo mera ghar bhi mera ghar nahin hone deta
jab bhi milta hai to bas TuT ke milta hai mujhe
apne gham ka mujhe KHugar nahin hone deta
ruTh bhi jate hain 'jafar' to mana lene mein
mujh ko apne se wo behtar nahin hone deta
- Book : Beesveen Sadi Ki Behtareen Ishqiya Ghazlen (Pg. 75)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.