apne fan mein yakta hun
apne fan meñ yaktā huuñ
maiñ bhī tere jaisā huuñ
saare jag meñ tanhā huuñ
jab se tujh se bichhḌā huuñ
mujh meñ bas tū hī tū hai
maiñ terā ā.īna huuñ
mujh se ye kaisī duurī
maiñ to terā saaya huuñ
jab se tū ne Thukrāyā
galiyoñ galiyoñ bhaTkā huuñ
dil kī banjar dhartī meñ
mīThe sapne botā huuñ
zar vāloñ kī bastī meñ
'ārif' khoTā sikka huuñ
apne fan mein yakta hun
main bhi tere jaisa hun
sare jag mein tanha hun
jab se tujh se bichhDa hun
mujh mein bas tu hi tu hai
main tera aaina hun
mujh se ye kaisi duri
main to tera saya hun
jab se tu ne Thukraya
galiyon galiyon bhaTka hun
dil ki banjar dharti mein
miThe sapne bota hun
zar walon ki basti mein
'arif' khoTa sikka hun
- Book : Kuchh Nazmen Kuchh Ghazalen (Pg. 119)
- Author : Arif Hasan Khan
- Publication : Arif Hasan Khan (2011)
- Edition : 2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.