apne gham ka mujhe kahan gham hai
apne ġham kā mujhe kahāñ ġham hai
ai ki terī ḳhushī muqaddam hai
aag meñ jo paḌā vo aag huā
husn-e-soz-e-nihāñ mujassam hai
us ke shaitān ko kahāñ taufīq
'ishq karnā gunāh-e-ādam hai
dil ke dhaḌkoñ meñ zor-e-zarb-e-kalīm
kis qadar is habāb meñ dam hai
hai vahī 'ishq zinda-o-jāved
jise āb-e-hayāt bhī sam hai
is meñ Thahrāv yā sukūn kahāñ
zindagī inqalāb-e-paiham hai
ik taḌap mauj-e-tah-nashīñ kī tarah
zindagī kī binā-e-mohkam hai
rahtī duniyā meñ 'ishq kī duniyā
na.e 'unvān se munazzam hai
uThne vaalī hai bazm maazī kī
raushnī kam hai zindagī kam hai
ye bhī nazm-e-hayāt hai koī
zindagī zindagī kā mātam hai
ik muamma hai zindagī ai dost
ye bhī terī adā-e-mub.ham hai
ai mohabbat tū ik azaab sahī
zindagī be tire jahannam hai
ik talātum sā rañg-o-nik.hat kā
paikar-e-nāz meñ damā-dam hai
phirne ko hai rasīlī nīm-nigāh
āhū-e-nāz mā.il-e-ram hai
ruup ke jot zer-e-pairāhan
gulsitāñ par ridā-e-shabnam hai
mere siine se lag ke so jaao
palkeñ bhārī haiñ raat bhī kam hai
aah ye mehrbāniyāñ terī
shādmānī kī aañkh pur-nam hai
narm o doshīza kis qadar hai nigāh
har nazar dāstān-e-maryam hai
mehr-o-mah shola-hā-e-sāz-e-jamāl
jis kī jhankār itnī maddham hai
jaise uchhle junūñ kī pahlī shaam
is adā se vo zulf barham hai
yuuñ bhī dil meñ nahīñ vo pahlī umang
aur terī nigāh bhī kam hai
aur kyuuñ chheḌtī hai gardish-e-charḳh
vo nazar phir ga.ī ye kyā kam hai
rū-kash-e-sad-harīm-e-dil hai fazā
vo jahāñ haiñ 'ajīb 'ālam hai
diye jaatī hai lau sadā-e-'firāq'
haañ vahī soz-o-sāz kam kam hai
apne gham ka mujhe kahan gham hai
ai ki teri KHushi muqaddam hai
aag mein jo paDa wo aag hua
husn-e-soz-e-nihan mujassam hai
us ke shaitan ko kahan taufiq
'ishq karna gunah-e-adam hai
dil ke dhaDkon mein zor-e-zarb-e-kalim
kis qadar is habab mein dam hai
hai wahi 'ishq zinda-o-jawed
jise aab-e-hayat bhi sam hai
is mein Thahraw ya sukun kahan
zindagi inqalab-e-paiham hai
ek taDap mauj-e-tah-nashin ki tarah
zindagi ki bina-e-mohkam hai
rahti duniya mein 'ishq ki duniya
nae 'unwan se munazzam hai
uThne wali hai bazm mazi ki
raushni kam hai zindagi kam hai
ye bhi nazm-e-hayat hai koi
zindagi zindagi ka matam hai
ek muamma hai zindagi ai dost
ye bhi teri ada-e-mubham hai
ai mohabbat tu ek azab sahi
zindagi be tere jahannam hai
ek talatum sa rang-o-nikhat ka
paikar-e-naz mein dama-dam hai
phirne ko hai rasili nim-nigah
aahu-e-naz mail-e-ram hai
rup ke jot zer-e-pairahan
gulsitan par rida-e-shabnam hai
mere sine se lag ke so jao
palken bhaari hain raat bhi kam hai
aah ye mehrbaniyan teri
shadmani ki aankh pur-nam hai
narm o doshiza kis qadar hai nigah
har nazar dastan-e-maryam hai
mehr-o-mah shola-ha-e-saz-e-jamal
jis ki jhankar itni maddham hai
jaise uchhle junun ki pahli sham
is ada se wo zulf barham hai
yun bhi dil mein nahin wo pahli umang
aur teri nigah bhi kam hai
aur kyun chheDti hai gardish-e-charKH
wo nazar phir gai ye kya kam hai
ru-kash-e-sad-harim-e-dil hai faza
wo jahan hain 'ajib 'alam hai
diye jati hai lau sada-e-'firaq'
han wahi soz-o-saz kam kam hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.