apne ghamon ki baat nahin hai hansi ki baat
apne ġhamoñ kī baat nahīñ hai hañsī kī baat
is rang meñ bhī karte haiñ ham zindagī kī baat
dānishvaroñ kī bazm meñ logo kahāñ chale
lo merī vahshatoñ se suno āgahī kī baat
ahl-e-ḳhirad pe farz huā sajda-e-junūñ
mahfil meñ jab chhiḌī mirī dīvāngī kī baat
barbād haiñ bagūle pareshāñ shamīm-e-gul
pahuñchī kahāñ kahāñ tirī āvārgī kī baat
kyā kyā zamāna mujh pe lagā.e na tohmateñ
lahja badal ke kah duuñ agar aap hī kī baat
hai apnī apnī sab ko hī 'bismil' paḌī huī
suntā nahīñ hai ġhaur se koī kisī kī baat
apne ghamon ki baat nahin hai hansi ki baat
is rang mein bhi karte hain hum zindagi ki baat
danishwaron ki bazm mein logo kahan chale
lo meri wahshaton se suno aagahi ki baat
ahl-e-KHirad pe farz hua sajda-e-junun
mahfil mein jab chhiDi meri diwangi ki baat
barbaad hain bagule pareshan shamim-e-gul
pahunchi kahan kahan teri aawargi ki baat
kya kya zamana mujh pe lagae na tohmaten
lahja badal ke kah dun agar aap hi ki baat
hai apni apni sab ko hi 'bismil' paDi hui
sunta nahin hai ghaur se koi kisi ki baat
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.