apne ghar mein dip jalana bhul gae
apne ghar meñ diip jalānā bhuul ga.e
bachchoñ ko tahzīb sikhānā bhuul ga.e
talvāroñ kī ārā.ish kā mausam thā
kamre meñ gul-dān sajānā bhuul ga.e
ḳhud se milne kī chāhat meñ the masrūf
ham duniyā ko phir apnānā bhuul ga.e
fāsla us ne rakh chhoḌā thā apne biich
ham bhī us se haath milānā bhuul ga.e
maujoñ kā kuchh lutf-o-karam hī aisā thā
ham kashtī sāhil par laanā bhuul ga.e
tanhā.ī kā bojh hai apne shānoñ par
ḳhud ko ye ehsās dilānā bhuul ga.e
sūkhī dhartī apnī kokh se kyā degī
bādal ab ke jal barsānā bhuul ga.e
'ḳhālid' aksar raat milī fōTpāthoñ par
ham ḳhvāboñ se aañkh milānā bhuul ga.e
apne ghar mein dip jalana bhul gae
bachchon ko tahzib sikhana bhul gae
talwaron ki aaraish ka mausam tha
kamre mein gul-dan sajaana bhul gae
KHud se milne ki chahat mein the masruf
hum duniya ko phir apnana bhul gae
fasla us ne rakh chhoDa tha apne bich
hum bhi us se hath milana bhul gae
maujon ka kuchh lutf-o-karam hi aisa tha
hum kashti sahil par lana bhul gae
tanhai ka bojh hai apne shanon par
KHud ko ye ehsas dilana bhul gae
sukhi dharti apni kokh se kya degi
baadal ab ke jal barsana bhul gae
'KHalid' aksar raat mili fooTpathon par
hum KHwabon se aankh milana bhul gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.