apne ghar par bula liya usne
apne ghar par bulā liyā us ne
diip saare bujhā diyā us ne
chāñdnī sī bikhar ga.ī har-sū
ruḳh se parda haTā diyā us ne
kho gayā us kī mast āñkhoñ meñ
aise nazreñ milā liyā us ne
rakh ke godī meñ sar merā apnī
dil kī dhaḌkan baḌhā diyā us ne
kyuuñ na ho naaz apnī qismat par
mujh ko apnā banā liyā us ne
vaqt-e-ruḳhsat namī thī āñkhoñ meñ
haath phir bhī hilā diyā us ne
lauT kar ā.ūñgā maiñ phir ek din
va.ada mujh se karā liyā us ne
gum hai 'tauqīr' us kī yādoñ meñ
jām-e-ulfat pilā diyā us ne
apne ghar par bula liya us ne
dip sare bujha diya us ne
chandni si bikhar gai har-su
ruKH se parda haTa diya us ne
kho gaya us ki mast aankhon mein
aise nazren mila liya us ne
rakh ke godi mein sar mera apni
dil ki dhaDkan baDha diya us ne
kyun na ho naz apni qismat par
mujh ko apna bana liya us ne
waqt-e-ruKHsat nami thi aankhon mein
hath phir bhi hila diya us ne
lauT kar aaunga main phir ek din
wada mujh se kara liya us ne
gum hai 'tauqir' us ki yaadon mein
jam-e-ulfat pila diya us ne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.