apne ghar se mere ghar tak kuchh lamhon mein aaega
apne ghar se mere ghar tak kuchh lamhoñ meñ aa.egā
itnī masāfat meñ logoñ ko kitne rang dikhā.egā
dhuup thī sarsoñ kī kyārī meñ donoñ mil kar so.e the
ye manzar bhī saath hamāre dar dar Thokar khā.egā
phir vo shā.ir raat ga.e us shahr meñ tanhā phirtā hai
us ko kahnā sabr kare milne kā mausam aa.egā
saarī raat vo saath rahe saa.e kī tarah ham se duur
ham bhī saath lage rahte haiñ kabhī to mil hī jā.egā
raat kī kaalī chādar le kar din bhar so.e rahte haiñ
dekheñ kab vo sūraj ban kar hameñ jagāne aa.egā
apne ghar se mere ghar tak kuchh lamhon mein aaega
itni masafat mein logon ko kitne rang dikhaega
dhup thi sarson ki kyari mein donon mil kar soe the
ye manzar bhi sath hamare dar dar Thokar khaega
phir wo shair raat gae us shahr mein tanha phirta hai
us ko kahna sabr kare milne ka mausam aaega
sari raat wo sath rahe sae ki tarah hum se dur
hum bhi sath lage rahte hain kabhi to mil hi jaega
raat ki kali chadar le kar din bhar soe rahte hain
dekhen kab wo suraj ban kar hamein jagane aaega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.