apne guman-e-tark-e-mohabbat ko kya hua
apne gumān-e-tark-e-mohabbat ko kyā huā
phir sāmne hai ek badan sochtā huā
ye pairahan ye zulf ye nazroñ kī ehtiyāt
ham ḳhush-nasīb haiñ ki tirā sāmnā huā
ham par to ḳhair ek qayāmat guzar ga.ī
tere mizāj se bhī jahāñ āshnā huā
kākul-badosh aaj vo sargarm-e-bahs haiñ
dil kī muvāfaqat meñ koī faisla huā
nā-puḳhtagī-e-ishq ke ġham bhī guzar ga.e
us bā-vafā pe aaj yaqīn-e-vafā huā
phir qatl-gah meñ zīnat-e-dār-o-rasan huī
phir sharh-e-ārzū kā kahīñ hausla huā
'saifī' hameñ aziiz thā kuchh itnā rāz-dāñ
vo shoḳh ḳhush-dimāġh bhī ham se ḳhafā huā
apne guman-e-tark-e-mohabbat ko kya hua
phir samne hai ek badan sochta hua
ye pairahan ye zulf ye nazron ki ehtiyat
hum KHush-nasib hain ki tera samna hua
hum par to KHair ek qayamat guzar gai
tere mizaj se bhi jahan aashna hua
kakul-badosh aaj wo sargarm-e-bahs hain
dil ki muwafaqat mein koi faisla hua
na-puKHtagi-e-ishq ke gham bhi guzar gae
us ba-wafa pe aaj yaqin-e-wafa hua
phir qatl-gah mein zinat-e-dar-o-rasan hui
phir sharh-e-arzu ka kahin hausla hua
'saifi' hamein aziz tha kuchh itna raaz-dan
wo shoKH KHush-dimagh bhi hum se KHafa hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.