apne guzre hue lamhat zara yaad karo
apne guzre hue lamhāt zarā yaad karo
roz hotī thī mulāqāt zarā yaad karo
kyā suhānī thī ghaḌī kaisā suhānā mausam
chāñd tāroñ kī hasīñ raat zarā yaad karo
tum agar bhuul ga.e ho to koī baat nahīñ
is añgūThī kī vo sauġhāt zarā yaad karo
chhat pe aa jaate the kapḌoñ kā bahānā kar ke
kyā mohabbat ke the jazbāt zarā yaad karo
merī marzī meñ huā kartī thī terī marzī
kitne milte the ḳhayālāt zarā yaad karo
kis qadar merī mohabbat ke zamāna thā ḳhilāf
bas akelī thī mirī zaat zarā yaad karo
ġham ke bādal jo uThā karte the dil par 'ārif'
apne ashkoñ kī vo barsāt zarā yaad karo
apne guzre hue lamhat zara yaad karo
roz hoti thi mulaqat zara yaad karo
kya suhani thi ghaDi kaisa suhana mausam
chand taron ki hasin raat zara yaad karo
tum agar bhul gae ho to koi baat nahin
is anguThi ki wo saughat zara yaad karo
chhat pe aa jate the kapDon ka bahana kar ke
kya mohabbat ke the jazbaat zara yaad karo
meri marzi mein hua karti thi teri marzi
kitne milte the KHayalat zara yaad karo
kis qadar meri mohabbat ke zamana tha KHilaf
bas akeli thi meri zat zara yaad karo
gham ke baadal jo uTha karte the dil par 'arif'
apne ashkon ki wo barsat zara yaad karo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.